Friday, October 09, 2009

Aankh khuli to phir....


Aankh khuli to phir khwaab chale gaye
jii behlane ke saare bahaane chale gaye

yaad rehta nahi kuch bhi yaad kiye bina
yaadoN me khokar jeene ke sahare chale gaye

gham bhi gaya, khushiyaN bhi gaye
ek ek karke sab yaar chale gaye

har tasawwur me dekha tere chehre ko
har shaks ko khuda banakar chale gaye

chupaya na jaye logoN se meri dil ki raghbat
teri furqat ke sholay ragoN me chupakar chale gaye

sirf dil hi tha tera sabse bada khazaana 'HUM'
phir kyun usey ek ajnabee pe lutakar chale gayee...

1 comment:

Bhakti Gurav said...

band aakhome khwaab sajte hai
aakh khuli to hakikat najar aaiti hai

yadome khone se achha hakitme jiye Q kisi ke sahre jiye

jivan 1 behta pani uuke saath behte chle

jeevan jinahi hai to Q na muskurakar jiye