Wednesday, June 20, 2007

Software Engineer Jaa Raha Hai !!!


( A tribute to all Software Engineers !!! )

Apne Project ke bojh tale daba jaa raha hai, Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


zindagi se hara hua hai, par "Bugs" se haar nahi manata, Apne application ki ek ek line ise rati hui hai, par aaj kaun se rang ke moje pehne hain , ye nahi janata,


din par din ek excel file banata ja raha hai Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


das hazaar line ke code main error dhoond lete hain lekin, majboor dost ki ankhon ki nami dikhayi nahi deti, pc pe hazaar windows khuli hain, par dil ki khidki pe koi dastak sunayi nahi deti,


satuday-sunday nahata nahi, week days ko naha raha hai, Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


Coding karte karte pata hi nahi chala, bugs ki priority kab maa-baap se high ho gayi, kitabon main gulab rakhne wala , cigerette ke dhuyen main kho gaya, dil ki zameen se armaanon ki vidayi ho gayi,



weekends pe daroo peke jo jashna mana raha hai, Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


maze lena ho iske to pooch lo, "Salary Increment" ki party kab dila rahe ho, hansi udana ho to pooch lo, "Onsite" kab ja rahe ho?


wo dekho onsite se laute team-mate ki chocolates kha raha hai, Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


kharche badh rahe hain, baal kam ho rahe hain, KRA ki date ati nahi, Income Tax ke sitam ho rahe hain,


lo phir se bus choot gayi, Auto se aa raha hai, Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


Pizza gale se nahi utarta, to "Coke" ke sahare nigal liya jata hai, office ki "Thali" dekh munh hai bigadta, maa ke hath ka wo khana baar roz yaad ata hai,



"Sprout bhel" bani hai phir bhi, free "Evening Snacks" kha raha hai, Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


aapne ab tak li hongi bahut si chutikiya, Software engg. ke jivan ka sach batati ye akhri kuch panktiyan,

hazaron ki tankhwah wala, company ki karodon ki jeb bharta hai, software engg. wahi ban sakta hai, jo lohe ka jigar rakhta hai,


hum log jee jee ke marte hain , zindagi hai kuch aisi, ek fauj ki naukri, doosri software engg. ki , dono ek jaisi,


is kavita ka har shabd mere dil ki gehrayi se aa raha hai, Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

Wednesday, April 11, 2007

When Do I Love You?


I love u when u walk,
I love u when u talk,
I love to get the love
From ur collected stock.

I love u like a rose,
I love u in every pose,
I love to hear u talk,
Of kissing me on the nose.

I love u when u miss,
I love u when u kiss,
I love to love u love,
'Coz it provides me a bliss.

I love to know u r mine,
My love u r a sweet rhyme,
In fact the reality is hunny,
That I Love u all the time.

Saturday, March 17, 2007

Woh College ke Din !!!

Yeh degree bhi lelo ye naukari bhi lelo,

Bhale Chheen lo mujhse USA ka Visa...........

magar mujhko lauta do college ka canteen,

vo chaay ka paani vo teeKha samosaa..........

kadi dhoop mein apne ghar se nikalnaa,
vo project ki Khatir shahar bhar bhataknaa,

vo lecture mein doston ki proxy lagaanaa,
vo sir ko chidhanaa ,
vo aeroplane udaanaa,

vo submission ki raton ko jagnaa jagaanaa,
vo orals ki kahani vo practical ka Kissaa.....

bimaari ka reason de ke time badhanaa,
vo doosron ke assignments ko apnaa banaanaa,

vo seminar ke din paironka chhatpatanaa,
vo workshop mein din raat pasinaa bahanaa,

vo exam ke din ka bechain maahaul,

par vo maa ka vishvas - Teachar ka Bharosaa.....
vo pedon ke neeche gappe ladanaa,
vo raaton mein drawing sheets banaanaa,
vo exams ke akhari din theatre mein jaanaa, !
vo bhole se freshers ko hamesha sataanaa,

without any reason common off pe jaanaa,

test ke waqt table mein kitabon ko rakhnaa,
isi tarah teachers ko dena Jhansaa........

college ki sabse purani nishaanee,
vo chaaywala jise saare kehte the... jaani,
vo jaani ke hathon ki 'cutting' chaay meethee,
vo chupkese journal mein bheji hui chitthi,
vo padh tehi chiththi uska bhadakna,

vo chehre ki laali vo aankhon ka Gussaa.....

college ki wo saari lambisi raatein,

vo doston se canteen mein pyaari si baatein,

vo gathering ke din ka ladnaa Jhagadnaa,
vo ladkiyon ka yuhin hamesha akadnaa,
bhulaaye nahin bhool sakta hai koi,
vo college, vo batein, vo shararatein vo javani...

kaash hum phir dohra sakte kahani......
vo kagaz ki kashti vo barish ka pani.

Wednesday, January 31, 2007

Jeene ke liye bhi waqt nahi.

Jeene ke liye bhi waqt nahi.

(I dont know the original Poet of this great creation.)

Har khushi hai logo ke Daaman me,
Par ek HASI ke liye waqt nahi.
Din raat daudti duniya me,
Jindagi ke liye he waqt nahi.

Maa ki lori ka ehesaas to hai,
par maa ko maa kehne ka waqt nahi.
Sare rishton ko to hum maar chuke,
ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi.

Sare naam mobile me hain,
par dosti ke liye waqt nahi.
Gairon ki kya baat kahen,
jab apano ke liye hee waqt nahi.

Ankhon me hai neend badee,
par sone ko waqt nahi.
Dil hai gamo se bharaa hua,
par rone ko bhi waqt nahee.

Paison ki daud me aise daude,
ki thakane ko bhi waqt nahi.
Paraye ehesaso ki kya kadar karen,
jab apane sapano ke liye hi waqt nahi.

Tu hi bata E Zindagi,
is Zindagi ka kya hoga.
Ki har pal mar ne walon ko,
jeene ke liye bhi waqt nahi.......
Ki har pal mar ne walon ko,
jeene ke liye bhi waqt nahi.

Thursday, January 04, 2007

BE MY BEST FRIEND FOREVER...!!!

Plz Be My Best Friend Forever...

I'm going to be the best friend you ever had.

I'm going to listen to you like no one has Even if I might be too busy. I'm going to be there when it counts Not this time, but every time you need it. I'm going to be the best friend you ever had.

I'm going to be your support, lifting you up Whether I have the strength to or not. I'm going to treat you like it's your birthday Not that day, but every single day of the year. I'm going to be the best friend you ever had.

I'll listen to you I'll offer you advice I'll play with you Sometimes letting you win I'll be there for you When you're filled up with strife I'll pray for you When you're struggling in life

I'm going to be the best friend you've ever had. This day, the next and forever...

Why?
Because that's the kind of friend you are for me.

BE MY BEST FRIEND FOREVER...